Digital Karobar

Stock aur inventory ka hisaab

Inventory software — har cheez ka stock, har waqt sahi

Bikri par stock khud kam, khareed par khud zyada. Kam stock, expiry aur "kya mangwana hai" ki list khud — ek ya kai branchon aur godam ke liye.

Inventory mein kya milta hai

Stock khud kam / zyada

Har bill, wapsi aur khareed par stock usi waqt badalta hai — galti ki gunjaish kam.

Kam stock aur reorder

Kam hoti cheezon ki list aur supplier ke hisaab se purchase order ek tap mein.

Batch aur expiry

Har batch ki expiry; kareeb aati expiry ki khabar aur expire maal bikri se bahar.

Unit aur pack

Carton, darjan, kilo, gram, litre — pack aur khula dono, alag rate ke saath.

Barcode sticker

Apne maal ke barcode label chhapein; scanner se ginti aur bill.

Branch transfer aur ginti

Branch se branch maal bhejein, stock ki ginti (stock take) karein aur farq ki report lein.

Rozana thori ginti

Poori dukan band kar ke ginti ki jagah roz kuch cheezein — farq ki report ke saath.

Godown se branches

Godown ka maal har branch ki zaroorat ke hisaab se baantein — transfer ban jate hain.

Branch ki apni qeemat

Har branch ki apni qeemat, ya kisi branch mein cheez band.

Sab branches ka stock

Ek table mein har cheez × branch; khatam aur kam rang se.

Bill ki tasveer se maal

Supplier ke bill ki tasveer lein — cheezein aur ginti khud bhar jati hain, phone par, net ke baghair.

Saajhi fehrist

Barcode scan karein — naam, company aur category khud. Qeemat hamesha aap ki.

Kin ke liye

Sawal jawab

Kya stock har bill par khud kam hota hai?

Haan, POS ka har bill stock kam karta hai aur khareed (purchase) stock barhati hai.

Expiry ka hisaab milta hai?

Haan, batch ke saath expiry likhein; kareeb aati expiry ki list aur expire maal bik nahi sakta.

Kai branchon ka stock alag rehta hai?

Haan, har branch ka apna stock, aur ek branch se doosri ko transfer bhi.

Stock report Excel mein milti hai?

Haan, stock, qeemat aur kam stock ki report Excel aur PDF dono mein.

Aur kya kya

Aaj hi apni dukan kholein

14 din muft. Na card, na kaghazi kaam — naam likhein, dukan chunein aur bechna shuru karein.